Tuesday, September 30, 2008

Kash aisa hua hota? Kash aisa na hua hota?

Kahte hain pyar ki shuruat ek muskan se hoti hai. pyar parwaan chadhta hai ek kiss se aur uska end hota hai tears se. Aisa end kyon hota hai us roohani rishte ka jiski ibadat bhagwan ne bhi ki hai. kyon pyar aur aansoon sath hote hain. Kyon do dil milkar bhi juda ho jate hain. Shayad zindgi bhar ek doosre ki yaad main tadapne ke liye. kash koi pyaar na kare, kare to fir usko paa bhi le. ye dard kai zindgiyan barbaad kar deta hai. ye dard na marne deta hai aur na hi jeene. jisne is dard ko jiya ho wo samajh sakta hai aur koi nahin. Kai sawalon ke jawab nahin hote. kai sawaal sirf sawal rah jate hain aur zindgi bhar ka dard de jate hain. Kash aisa hua hota? Kash aisa na hua hota?

Hum ne jo tha nagma suna; Dil ne tha usko chuna; Yeh dastaan humein vaqt ne kaise sunai; Hum jo agar hai gumgee ; Woh bhi udhar khush to nahi; Mulakato mein hai jaise ghul si gai tanhai ; Milke bhi hum milte nahi Khilke bhi gul khilte nahi; Aankhon mein hai baharein dil mein khiza; Sare sehmein nazare hain Soye soye vaqt ke dhare hain ; Aur dil mein koi khoye si baatein hain ; Kehne ko Jashan-e-bahara hai; Ishq yeh dekhke hairaan hai ; Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein ; Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein

No comments: